JAB NARSINGA PHOONKA LYRICS
(When the trumpet, of the lord)
जब नरसिंगा फूँका जावे हशर में बुलाने को
कि हर एक खुदा से अज़र पावेगा
जिस वक्त साथ उसके बहिश्त में बरगुजिदा जमा हो
तख्त के सामने मैं भी हाजिर होऊँगा।
जिस वक्त नाम पुकारे जावे (3)
बीच जमायत मैं भी हाज़िर होऊँगा।
2. सब-ए-सादिक उस दिन की जब जी उठें मोमिनो
और जा पहुँचे रास्तबाज़ अबदी आराम गाह
ताज-ए जिन्दगी जब पावें बरगुज़िदा कामों के
बीच जमायत मैं भी हाजिर होऊंगा
जिस वक्त नाम पुकारे जावे (3)
बीच जमायत मैं भी हाजिर होऊँगा।
3. पस मसीह के लिए खिदमत सुबह से शाम तक करूँगा
तो मोहब्बत उसकी जाहिर हो सदा
तब जिस वक्त खुदा बुलावे हमें अज़र देने को
मुझे भी वह ताज आसमानी मिलेगा
जिस वक्त नाम पुकारे जावे (3)
मुझे भी वह ताज आसमानी मिलेगा ।।
Jab narsinga phoonka jaave hashar mein bulaane ko
ki har ek khuda se azar paavega
Jis waqt saath uske bahishat mein barguzida jama ho
Takht ke saamne main bhi haazir hounga
Jis waqt naam pukare jaave (3)
Beech jamaayat main bhi haazir hounga
2. Sab-ae-saadik us din ki jab jee uthein momino
Aur ja pahunche raastbaaz abdi aaraam gaah
Taaj-ae zindagi jab paavein barguzida kaamon ke
Beech jamaayat main bhi haazir hounga
Jis waqt naam pukare jaave (3)
Beech jamaayat main bhi haazir hounga
3. Pas masih ke lie khidmat subah se shaam tak karunga
To muhabbat uski zaahir ho sada
Tab jis waqt Khuda bulave humein azar dene ko
Mujhe bhi veh taaj aasmaani milega
Jis waqt naam pukare jaave (3)
Mujhe bhi veh taaj aasmaani milega