top of page

Khazana (Live) 

Bridge Music ft. Sam Alex Pasula & Phebe Bright

दुनिया की नजरों में जब मैं काफी ना था
तूने मुझे अपने प्यार से काबिल किया
दुनिया की नजरों में जब मैं काफी ना था
तूने मुझे अपने प्यार से काबिल किया
हुजूरी में तेरी बैठा रहूं, मैं तुझको ही तकता रहूं
कदमों में तेरे बैठकर, मैं तेरी बातों को सुनता रहूं
मैं दीवाना तेरा, तू कीमती खजाना मेरा
यीशुआ… यीशुआ…

दुनिया की बातें उठाती गिराती मुझे
तेरे लफ्जों से मिलती है राहत मुझे
दुनिया की बातें उठाती गिराती मुझे
तेरे ही लफ्जों से मिलती है राहत मुझे
हुजूरी में तेरी बैठा रहूं, मैं तुझको ही तकता रहूं
कदमों में तेरे बैठकर, मैं तेरी बातों को सुनता रहूं
मैं दीवाना तेरा, तू कीमती खजाना मेरा
यीशुआ… यीशुआ…

तेरी नजर से खुद को मैं देखूं, तो पहले से काबिल हूं मैं
जाना जब मैंने खुश है तू मुझसे, आजाद मैं हो गया
तेरी नजर से खुद को मैं देखूं, तो पहले से काबिल हूं मैं
जाना जब मैंने खुश है तू मुझसे, आजाद मैं हो गया
मैं दीवाना तेरा, तू कीमती खजाना मेरा
यीशुआ… यीशुआ…

यीशुआ… यीशुआ…

यीशुआ… यीशुआ…

तू दीवाना मेरा, मैं कीमती खजाना तेरा
तूने सब कुछ दे दिया, मैं कीमती खजाना तेरा
तेरी आंखों की पुतली हूं पापा
तेरी आंखों की पुतली हूं पापा

Duniya ki nazron mein jab main kaafi na tha
Tune mujhe apne pyaar se kaabil kiya
Duniya ki nazron mein jab main kaafi na tha
Tune mujhe apne pyaar se kaabil kiya

Huzoori mein teri baitha rahun, main tujhko hi takta rahun
Kadmon mein tere baithkar, main teri baaton ko sunta rahun
Main deewana tera, tu keemti khazana mera
Yeeshua… Yeeshua…

Duniya ki baatein uthati giraati mujhe
Tere lafzon se milti hai raahat mujhe
Duniya ki baatein uthati giraati mujhe
Tere hi lafzon se milti hai raahat mujhe

Huzoori mein teri baitha rahun, main tujhko hi takta rahun
Kadmon mein tere baithkar, main teri baaton ko sunta rahun
Main deewana tera, tu keemti khazana mera
Yeeshua… Yeeshua…

Teri nazar se khud ko main dekhun, toh pehle se kaabil hoon main
Jaana jab maine khush hai tu mujhse, aazaad main ho gaya

Tu deewana mera, main keemti khazana tera
Tune sab kuch de diya, main keemti khazana tera
Teri aankhon ki putli hoon Papa
Teri aankhon ki putli hoon Papa

  प्रभु इस गीत के द्वारा आप सब को आशीष दे

yeshukegeet logo file new (1).png

YESHU KE GEET

Explore

Tutorials

Songs

Blog

Contact

About Us

  • Instagram
  • Facebook
  • Youtube

© 2014 Yeshu Ke Geet Creations. All Rights Reserved.

Tags : Hindi Christian Lyrics, Hindi Gospel Music, Christian Songs, Christian Videos, Urdu Christian Songs, Punjabi Christian Songs, Hindi Gospel Songs, Hindi Christian Devotional Songs, Hindi Christian Lyrics, Ernest Mall, Hindi Christmas Songs, Tamil Christian Songs, Hindi evangelist, Hindi Songs, Hindi Christian FM, Hindi Christian TV, Tamil Christian Song, Hindi Christian Links for Songs, Malayalam Christian Songs, Telugu Christian Songs, Telugu evangelist, Telugu Songs, Telugu Christian FM, Telugu Christian TV, Telugu Christian Devotions, Telugu Christian Links for Songs, Malayalam Christian Songs.

bottom of page