top of page

10 Hindi Christian Songs - Only 3 Chords and 1 Strumming Pattern! | Yeshu Ke Geet

Writer: Yeshu Ke GeetYeshu Ke Geet


Download PDF from here:

Chords: D, A , G


Chords Breakdown:

D MAJOR

1st finger - 2nd fret 3rd string

2nd finger - 2nd fret 1st string

3rd finger- 3rd fret 2nd string

A MAJOR

1st finger - 2nd fret 4th string

2nd finger - 2nd fret 3rd string

3rd finger - 2nd fret 2nd string

G MAJOR

1st finger - 2nd fret 5th string

2nd finger - 3rd fret 6th string

3rd finger- 3rd fret 2nd string

4th finger - 3rd fret 1st string


Strumming Pattern: D DUDUD DUDUD DU


10 CHRISTIAN SONGS:

(1) AWAZ UTHAYENGE

D A D

Awaaz uthayenge, hum saaz bajayenge

D G A D

Hai Yeshu mahaan apna, Yeh geet sunayenge


D G

Sansaar ki sundarta mein, hai roop toh tera hi

A D G D

In chand sitaaro mein, hai aks toh tera hi

D A D

Mahima ki teri batein, Hum Sabko batayenge,

D G A D

Hai Yeshu mahaan apna, Yeh geet sunayenge

D G

Dil tera khazana hai, ek paak mohabbat ka,

A D G D

Thah pa na saka koi, Saagar hai Tu Ulfat ka

D A D

Hum teri mohabbat se, Dil apna sajayenge,

D G A D

Hai Yeshu mahaan apna, Yeh geet sunayenge

D G

Na dekh saka humko, tu paap ke saagar mai,

A D G D

Aur banke manushya aaya, Akaash se sagar mai,

D A D

Mukti ka tu data hai, Duniya ko batayenge

D G A D

Hai Yeshu mahaan apna, Yeh geet sunayenge


(2) YESHU KA NAAM HAI SAARI ZAMEEN PAR

D

Yeeshu ka naam hai, saaree zameen par,

A D

jisase paapee paate uddhaar (2)


D

1 Vah duniya mein aaya, lahoo bahaaya,

D A

phidiya jahaan ko diya,

D hum ko bachaane, mukti dilaane,

A D

yeeshu saleeb par mua


D

2 Aasamaan ke neeche, logon ke beech mein,

D A

koee doosara naam nahin hai,

D

yeeshu ka naam hai, saaree zameen par

A D

jisase paapee paate uddhaar


D

3 Logon baeebal padho aur dua karo tum,

D A

Yeeshu jaldee aane vaala hai,

D jaagate raho aur praarthana karo tum,

A D

Yeeshu jaldee aane vaala hai


D

4 Jo laaye eemaan ab Yeeshu naam par,

D A

zinda hamesha rahega

D vah hee maarg hai, vah hee saty hai,

A D

vah hee anant jeevan hai.


(3) PAAVAN HAI VO PRABHU HUMARA

D

Paavan hai vo prabhu hamaara

A D Usakee jay jayakaar karo

D Nirbal ka vo bal hai nyaara

A D Usakee jay jayakaar karo

D A D Jay ho, jay ho, jay ho - 2


D

Deen dukhiyon ka hai daata

G D Bhatake huon ko raah dikhaata

D G A Seedhe maarg mein hamen chalaata

A D Usakee jay jayakaar karo D A D Jay ho, jay ho, jay ho - 2


D

Prabhu hamaara bada mahaan

G D Nirbuddhiyon ko deta gyaan

D G A Patiton ka vo bachaata praan

A D Usakee jay jayakaar karo D A D Jay ho, jay ho, jay ho - 2


D

Prabhu kee mahima aparampaar

G D Jag ka vo he taaranahaar

D G A Maano use apana aadhaar

A D Usakee jay jayakaar karo D A D Jay ho, jay ho, jay ho - 2


(4) AAJ KA DIN

D

Aaj ka din yahowa ne banaya hai

A G A D

Hum is mein aanandit ho, aanandit ho

D

Aaj ka din yahowa ne banaya hai

A G A D

Hum is mein aanandit ho, aanandit ho


D G D

Prabhu ko mahima mile, chahe ho mera apmaan

D G D

Wo badhe mai ghatu, rahe usi ka dhyaan

D G D

Prabhu ko mahima mile, chahe ho mera apmaan

D G D

Wo badhe mai ghatu, rahe usi ka dhyaan

D

Halleluyah

D

Aaj ka din yahowa ne banaya hai

A G A D

Hum is mein aanandit ho, aanandit ho

D G D

Stuti Prashansa kare, kyu na kuch hota rahe

D G D

Usko hum bhate rahe, chahe jaha bhi rahe

D G D

Stuti Prashansa kare, kyu na kuch hota rahe

D G D

Usko hum bhate rahe, chahe jaha bhi rahe

D

Halleluyah

D

Aaj ka din yahowa ne banaya hai

A G A D

Hum is mein aanandit ho, aanandit ho

D G D

Aata hun tere paas, mujhko hai tujhse aas

D G D

mujhko kubool karle, paapon se shudh kar de

D G D

Aata hun tere paas, mujhko hai tujhse aas

D G D

mujhko kubool karle, paapon se shudh kar de

D

Halleluyah

D

Aaj ka din yahowa ne banaya hai

A G A D

Hum is mein aanandit ho, aanandit ho


(5) STUTI ARADHANA

D G

Stuti aradhana upar jati hai

A D

Ashishe lekar neeche aati hai

D G

Stuti aradhana upar jati hai

A D

Ashishe lekar neeche aati hai

D G

Prabhu hamara kitna mahaan

A D

Dekho hamse karta hai pyar

D G

Prabhu hamara kitna mahaan

A D

Dekho hamse karta hai pyar

D A D

Hallelu halleluiyah

D A D

Hallelu halleluiyah


D G

Vinti aur prarthana upar jati hai

A D

Uttar lekar neeche aati hai

D G

Vinti aur prarthana upar jati hai

A D

Uttar lekar neeche aati hai

D G

Prabhu hamara kitna mahaan

A D

Dekho hamse karta hai pyar

D G

Prabhu hamara kitna mahaan

A D

Dekho hamse karta hai pyar

D A D

Hallelu halleluiyah

D A D

Hallelu halleluiyah

(6) BOLO JAI MILKAR JAI

D

Bolo Jai Milkar Jai,

A

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

A

Bolo Jai Milkar Jai,

G D

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

D

Bolo Jai Jai Jai

D A

Prem ki Tere yehi reet

A G D

man mein bharde apni preet

D A

Prem ki Tere yehi reet

A G D

man mein bharde apni preet

D G A D

Tere Prem ke Gaye Geet

D G A D

Tere Prem ke Gaye Geet

D

Bolo Jai Milkar Jai,

A

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

A

Bolo Jai Milkar Jai,

G D

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

D

Bolo Jai Jai Jai

D A

Krus pe apna Khoon Baha

A G D

Mujh Paapi ko di shifa

D A

Krus pe apna Khoon Baha

A G D

Mujh Paapi ko di shifa

D G A D

man mere tu bol sada

D G A D

man mere tu bol sada

D

Bolo Jai Milkar Jai,

A

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

A

Bolo Jai Milkar Jai,

G D

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

D

Bolo Jai Jai Jai


D A

Teri kudrat ki yeh shaan

A G D

khud hi data khud hi daan

D A

Teri kudrat ki yeh shaan

A G D

khud hi data khud hi daan

D G A D

poore kar man ke armaan

D G A D

poore kar man ke armaan

D

Bolo Jai Milkar Jai,

A

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

A

Bolo Jai Milkar Jai,

G D

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

D

Bolo Jai Jai Jai

D A

Khidmat apni le mujhse

A G D

is mandir mein tu hi base

D A

Khidmat apni le mujhse

A G D

is mandir mein tu hi base

D G A D

hind mein tera naam rahe

D G A D

hind mein tera naam rahe

D

Bolo Jai Milkar Jai,

A

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

A

Bolo Jai Milkar Jai,

G D

Bolo Jai Yeshu Ki Jai

D

Bolo Jai Jai Jai


(7) JUNGLI DARAKHTON KE DARMIYAAN

VERSE 1

D

Jungli darkhto ke darmiyan

D G D

Ek seb ke ped ke saman (2)

G D

Nazar ata hai mujhe ai masih (2)

D A D

Sare santo ke beech me tu (2)


CHORUS

D

Hamd karu me teri e prabhu

G D A

Apne jeevan bhar is jangal ke safar me

D A D

Gaoon shukra guzari se main (2)


VERSE 2

D

Tu hi hai nargis aj sharon ka,

D G D

Han tu sosan bhi vadiyo ka (2)

G D

Santon me tu hai ati pavitra (2)

D A D

Kese kamil aur shan se bhara (2)


VERSE 3

D

Itra ke jaisa hai tera nam

D G D

Khushbu failata hai jahan me (2)

G D

Tangi musibat aur badnami me (2)

D A D

Bana khushbudar tere saman (2)


VERSE 4

D

Ghabrahat ki laharo se gar,

D G D

Dubun Dukh ke sagar me (2)

G D

Apne joravar hath ko badha (2)

D A D

Mujhe apne seene se laga (2)


VERSE 5

D

Abhi aa raha hu tere pas

D G D

Puri karne ko teri marzi (2)

G D

Taki de du me kam ko anjam (2)

D A D

Paaum tere didar me inam (2)


(8) MAHIMA SE JO TU BHARA HUA

D G

Mahima se tu jo bhara hua,

D A

jyoti me sada rahane vala,

D G Manuṣhyoan me tu ne janma liya,

A D

fir se Yishu jag me tu ayega

A D ayega Yishu ayega Yishu

G D

fir se Yishu jag me tu ayega

D G Manuṣhyoan me tu ne janma liya,

A D

fir se Yishu jag me tu ayega


D G

Bhumi, akash me sama na saka,

D A

mandiroan me tu rah na saka,

D G Namra hoke charani me paida hua,

A D

manon me hamare ghar tu bana –

A D Ghar tu bana Yishu Ghar tu bana Yishu

G D

manon me hamare ghar tu bana

D G Namra hoke charani me paida hua,

A D

manon me hamare ghar tu bana –


D G

Khaime me akar tu hi basa,

D A

logo ko apne liye fira,

D G Agni aur badal me tu hi dikha,

A D

fir se Yishu apni tu mahima dikha –

A D Mahima dikha Yeshu Mahima dikha Yeshu

G D

fir se Yishu apni tu mahima dikha

D G Agni aur badal me tu hi dikha,

A D

fir se Yishu apni tu mahima dikha


D G

Daniel ki tune prarthana suni,

D A

ezra ki tune sahayata ki,

D G Babul me tune bedari bheji,

A D

apne logo ko fir se de rihai

A D De rihai tune De rihai tune

G D

apne logo ko fir se de rihai

D G Babul me tune bedari bheji,

A D

apne logo ko fir se de rihai


D G

Tu hi hamara raja hai,

D A

tu hi muktidata hai,

D G Fir se ane vala hai,

A D

pyare prabhu Yishu tu jaldi a –

A D Jaldi a Yeshu Jaldi a Yeshu

G D

pyare prabhu Yishu tu jaldi a

D G Fir se ane vala hai,

A D

pyare prabhu Yishu tu jaldi a


(9) TERI ICHCHHA POORI HO JAYE

D G

Teree Ichchha Pooree Ho Jaaye

A D

Haathon Mein Tere, Jeevan Hai Ye

G D

Main Mittee Hoon, Too Hai Kumhaar

A D

Mujhako Utha, Mujhako Bana

G D

Main Mittee Hoon, Too Hai Kumhaar

A D

Mujhako Utha, Mujhako Bana


D G

Apanee Marzee Par Main Chalata Raha

A D

Tujhako Kabhee Bhee Apana Na Kaha

G D

Lekin Prabhu Aaj Se Main

A D

Tere Kroos Ko Le Leta Hoon

G D

Lekin Prabhu Aaj Se Main

A D

Tere Kroos Ko Le Leta Hoon

Teree Ichchha Pooree Ho Jaaye


D G

Mushkilon Ke Saagar Mein

A D

Naiya Meree Doob Rahee

G D

Khaivanahaar Yeeshu Too Hai

A D

Aata Hoon Main Tere Charanon Mein

G D

Khaivanahaar Yeeshu Too Hai

A D

Aata Hoon Main Tere Charanon Mein

Teree Ichchha Pooree Ho Jaaye


D G

Jeevan Mera Tum Hee To Ho

A D

Saathee Mera Tum Hee Bano

G D

Mera Aadhaar Meree Chattaan

A D

Tum Hee To Ho Tum Hee Raho

G D

Mera Aadhaar Meree Chattaan

A D

Tum Hee To Ho Tum Hee Raho

Teree Ichchha Pooree Ho Jaaye


(10) KUCH KAMTI NA MUJHKO HOGI

G D

Kuch Kamti Na Mujhko Hogi

G D

Kuch Kamti Na Mujhko Hogi

D A

Mera Yeshu Masih Hai Gadariya

D A D

Mera Yeshu Masih Hai Gadariya


D

Mujhe Haree Haree Ghaas Charaataa,

D

Aur Nirmal Paanee Pilaataa,

G D

Mujhe Bhookh Piyaas Na Hogee,

G D

Mujhe Bhookh Piyaas Na Hogee,

D A

Mera Yeshu Masih Hai Gadariya

D A D

Mera Yeshu Masih Hai Gadariya

D

Vah Meree Jaan Bachaataa,

D

Aur Sachchee Raah Dikhaataa

G D

Is Raah Men Thakan Na Hogee,

G D

Is Raah Men Thakan Na Hogee,

D A

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

D A D

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

D

Mrityu Kaa Bhay Jab Chhaaye,

D

Aur Meree Jaan Duahkh Paaye,

G D

Teree Chhadee Se Himmat Hogee,

G D

Teree Chhadee Se Himmat Hogee,

D A

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

D A D

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

D

Mere Dushman Ko Too Haraave,

D

Meraa Dastarakhvaan Bichhaave,

G D

Khushee Usako Kuchh Bhee Na Hogee,

G D

Khushee Usako Kuchh Bhee Na Hogee,

D A

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

D A D

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

D

Mere Sar Par Tel Jhalakataa ,

D

Aur Pyaalaa Meraa Chhalakataa,

G D

Tere Ghar Men Khushee Tab Hogee,

G D

Tere Ghar Men Khushee Tab Hogee,

D A

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

D A D

Meraa Yeeshu Maseeh Hai Gadariyaa

Comments


yeshukegeet logo file new (1).png

YESHU KE GEET

Explore

Tutorials

Songs

Blog

About Us

  • Instagram
  • Facebook
  • Youtube

Contact

© 2014 Yeshu Ke Geet Creations. All Rights Reserved.

Tags : Hindi Christian Lyrics, Hindi Gospel Music, Christian Songs, Christian Videos, Urdu Christian Songs, Punjabi Christian Songs, Hindi Gospel Songs, Hindi Christian Devotional Songs, Hindi Christian Lyrics, Ernest Mall, Hindi Christmas Songs, Tamil Christian Songs, Hindi evangelist, Hindi Songs, Hindi Christian FM, Hindi Christian TV, Tamil Christian Song, Hindi Christian Links for Songs, Malayalam Christian Songs, Telugu Christian Songs, Telugu evangelist, Telugu Songs, Telugu Christian FM, Telugu Christian TV, Telugu Christian Devotions, Telugu Christian Links for Songs, Malayalam Christian Songs.

bottom of page